Search This Blog

Tuesday, 16 May 2017

Upkar Tumhara Baba - Lyrics

Upkaar Tumhara baba, Kin Shabdon mein main Gaau
Is Dil ne jo Paya hai, Vo kaise main Samjhau
Upkar Tumhara baba...

1. Marubhoomi bane jeevan mein, Hariyali ban kar aaye
    Murjhaye se is man par, khushhaali ban kar Chhaye
    Tulna ke Yogya nahi tu, Upma kiski Batau
Is Dil ne jo paaya hai...

2. Durgam Jeevan ke raste, Pag Pag par kaate Chubhte
    Thi Disha heen manavta, Daanavta mein the palte
    Path sugam banaya tumne, Bas teri mahima gaau
Is Dil ne jo Paaya Hai..

3. Nishchint banaya Jeevan, Chinta harna Sikhaya,
    Har man ki peeda peena, Tumne humko sikhaya
    Tumse har Gun ko lekar, Sabko main sukhi banau
Is Dil ne jo Paaya hai...

No comments:

Post a Comment