Search This Blog

Wednesday, 30 August 2017

Mere To Shiv Baba Ek - Lyrics with Mp3 and Video


Saanson ki maala mein jiski yaadein hain piroi
Mere to Shiv Baba Ek, Dusro Na koi
Baba hi sansaar mera, duniya meri vohi
Mere to Shiv....

1. Ek usi se dil ka rishta, ek usi se naata hai
In nainon ko siva Shiv ke aur nazar na aata hai
Maat pita, shikshak sadguru, bandhu sakha sab vo hi
Mere to Shiv Baba Ek......

2. Jabse usko jana hai, aisa mila khazana hai
Pakar apna meet suhana, man ko mila thikana hai
Usi ko paane ki khatir thi, yugo se akhiyan roi
Mere to Shiv Baba Ek......

3. Sang usi ke khelu khau, sath mein raas rachau
Uski yaad mein uske pyar mein , sare sukh ab mai paau
Sneh sindhu ki mai lehron mein, rehti khoi khoi
Mere to Shiv Baba Ek......



–--–––------------------------------------------------------

सांसो की माला में जिसकी यादे हैं पिरोई
मेरे तो शिव बाबा एक दूसरो न कोई
बाबा ही संसार मेरा, दुनिया मेरी वोही
मेरे तो शिव बाबा एक.....

1. एक उसी से दिल का रिश्ता, एक उसी से नाता है
इन नैनो को सिवा शिव के और नज़र न आता है
मात पिता, शिक्षक सद्गुरु, बंधु सखा सब वोही
मेरे तो शिव बाबा एक.....

2. जबसे उसको जाना है, ऐसा मिला खज़ाना है
पाकर अपना मीत सुहाना, मन को मिला ठिकाना है
उसी को पाने की खातिर थी, युगों से अँखियाँ रोई
मेरे तो शिव बाबा एक.....

3. संग उसी के खेलूँ खाऊ, साथ मे रास रचाऊँ
उसकी याद में, उसके प्यार में, सारे सुख अब मैं पाऊं
स्नेह सिंधु की मैं लहरों में, रहती खोई खोई
मेरे तो शिव बाबा एक .....


Monday, 28 August 2017

Yaad Tumhari Kitni Pyari - Lyrics with Mp3




Yaad Tumhari, Kitni Pyari, Sheetal si chhatra chhaya hai
Is chhaya mein baba humne, behad ka sukh paya hai, behad ka sukh paya hai

1. Maang rahe the, Dar dar bhatke, Milta kahi tha pyar nahi
Bin maange humein sab kuchh dete, Mangne ki darkaar nahin
Sab kuchh tera ab to mera, Hum par tera saaya hai
Is Chhaya mein...

2. Jiske simran se bhakton ke, bhagya dwar khul jaate hain
Ek jhalak ke darashan se hi manchahe fal pate hain
Pas mein laake, humein bitha ke , nainan aan samaya hai
Is chhaya mein...


------------------------------------------------------------------------------------------------------


याद तुम्हारी, इतनी प्यारी, शीतल सी छत्रछाया है
इस छाया में बाबा हमने बेहद का सुख पाया है, बेहद का सुख पाया है

1. मांग रहे थे, दर दर भटके, मिलता कहीं था प्यार नहीं
बिन मांगे हमें सब कुछ देते, मांगने की दरकार नहीं
सब कुछ तेरा, अब तो मेरा, हम पर तेरा साया है
इस छाया में....

2. जिसके सिमरन से भक्तों के भाग्यद्वार खुल जाते हैं
एक झलक के दर्शन से ही, मैन चाहे फल पाते हैं
पास में लाके, हमे बिठा के, नैनन आन समाया है
इस छाया में.....

Tuesday, 22 August 2017

Aap Drishti Yunhi Dete Raho Baba - Lyrics with Mp3 and Video


Aap Drishti Yunhi dete raho Baba, Sukh saagar mein gehre utar jaaun
Hon palkein na pal bhar band meri, In lehron ko daaman mein bhar jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

1. Ho Gaye ab nihal ye naina, Baba aapki ruhani nazron se
    Paa liya hai mujhe tha jo pana, ye aavaj nikle antar se
    Aap shakti yunhi bharte raho baba, Is deh ki duniya se ud jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

2. Shukriya aapka laankho baba, Aapne humko dil se apna liya
    Pyas janmon ki ab bujh gayi hai, Apni nazron mein humko basa jo liya
    Aap aake yunhi milte raho baba, banke jannat ki khushboo bikhar jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

3. Har kalp yunhi milte rahenge, Preet ki dori aisi hai bandhi
    Aap se door na reh sakenge, Aaye maya ki kitni bhi aandhi
    Pyar ki varsha karte raho baba, mai sneh ke moti se bhar jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

आप दृष्टि यूँही देते रहो बाबा, सुख सागर में गहरे उतर जाऊ 
हों पलके न पल भर बंद मेरी, इन लहरों को दामन में भर जाऊ 
आप दृष्टि यूँही..... 

१. हो गए अब निहाल ये नैना, बाबा आपकी रूहानी नज़रों से 
 पा लिया है मुझे था जो पाना , ये आवाज निकले अंदर से 
आप शक्ति यूँही भरते रहो बाबा, इस देह की दुनिया से उड़ जाऊ 
आप दृष्टि यूँही..... 

२. शुक्रिया आपका लाखो बाबा, आपने हमको दिल से अपना लिया 
प्यास जन्मों की अब बुझ गयी है, अपनी नज़रों में हमको बसा जो लिया 
आप आके यूँही मिलते रहो बाबा, बनके जन्नत की खुशबू बिखर जाऊं 
आप दृष्टि यूँही..... 

३.  हर कल्प यही मिलते रहेंगे, प्रीत की डोरी ऐसी है बंधी 
आपसे दूर न रह सकेंगे , आये माया की कितनी भी आंधी 
प्यार की वर्षा करते रहो बाबा, मै स्नेह के मोती से भर जाऊ 
आप दृष्टि यूँही..... 



Monday, 21 August 2017

Jaane Kya Dekha Mujhme - Lyrics with Mp3 and Video


Jaane kya Dekha Mujhme, Mujhe pyar kar liya
Mere ladle kaha, Mere ladle kaha, Aanchal mein bhar liya
Jaane kya dekha Mujhme..

1. Tera pyar sochkar ke, aankho mein aansu aaye
    Moti inhe banakar, dil mein liya samaye
    Naino se jaadu karke, gam saara har liya
Mere ladle kaha, Mere ladle kaha, Aanchal mein bhar liya
Jaane kya dekha Mujhme..

2. Koi nahi thi khoobi, kaabil na the tumhare
    Socha nahi kabhi tha, badlenge din humare
    Gaagar mein man ke mere, saagar ko bhar diya
Mere ladle kaha, Mere ladle kaha, Aanchal mein bhar liya
Jaane kya dekha Mujhme..

3. Godi mein baba tere, Manva kare kilole
    Aanand sindhu leta, antar mein hai hilore
    Apna bana ke humko, kya se kya kar diya
Mere ladle kaha, Mere ladle kaha, Aanchal mein bhar liya
Jaane kya dekha Mujhme..

------------------------------------------------------------------------------------------------
जाने क्या देखा मुझमे, मुझे प्यार कर लिया 
मेरे लाडले कहा.... मेरे लाडले कहा, आँचल में भर लिया
जाने क्या देखा मुझमे....

१.  तेरा प्यार सोचार के, आँखों में आंसू आये
मोती इन्हे बनाकर, दिल में लिया समाये
नैनो से जादू करके, गम सारा हर लिया
मेरे लाडले कहा.... मेरे लाडले कहा, आँचल में भर लिया 
जाने क्या देखा मुझमे.... 

२. कोई नहीं थी खूबी, काबिल न थे तुम्हारे
सोचा नहीं कभी था बदलेंगे दिन हमारे
गागर में मन के मेरे, सागर को भर दिया
मेरे लाडले कहा.... मेरे लाडले कहा, आँचल में भर लिया 
जाने क्या देखा मुझमे.... 

३. गोदी में बाबा तेरे , मनवा करे किलोले
आनंद सिंधु लेता, अंतर में है हिलोरे
अपना बना के हमको, क्या से क्या कर दिया
 मेरे लाडले कहा.... मेरे लाडले कहा, आँचल में भर लिया 
जाने क्या देखा मुझमे.... 



Tuesday, 15 August 2017

Kitna Pyar Diya Baba - Lyrics With Mp3




Kitna Pyar Diya Baba, Bhar Ke apni Bahon Mein
Hum Ho Gaye Hain Farishte, Sneha Bhari Nigahon Se

1. Umang Bhar Ke Mann Mein, Jag Mein Jeena Hamein Sikhaya
    Shresth Ban-na jeevan mein, Sath Chalna Hamein Sikhaya
    Jab Se Pakda Haath Hamara Phool bikhre Hain Rahon Mein
Kitna Pyar Diya Baba......

2. Sath Sarv Shaktimaan Jeevan mein ab Kaisa dar,
Avinashi is natak mein apna hai suhana safar
Chain aman ka Rang Chaya, Aake Prabhu panahon mein,
Kitna Pyar Diya Baba...

3. Is Veeran Jag Mein, Mil Gaya Hai Hame sahara
Dil Mein Tha Kitna Gam, Mit Gaya Hai abto Sara
Khila hai Man Mein Sukh ka upvan, Mehke man fizaon Mein
Kitna Pyar Diya Baba....

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------

कितना प्यार दिया बाबा, भरके अपनी बाँहों में 

हम हो गए हैं फ़रिश्ते, स्नेह भरी निगाहों से

१. उमंग भर के मन में, जग में जीना हमें सिखाया
श्रेष्ठ बनना जेवण में, साथ चलना हमें सिखाया
जब से पकड़ा हाथ हमारा, फूल बिखरे हैं राहों में
कितना प्यार दिया....

२. साथ सर्व शक्तिमान जीवन में अब कैसा डर
अविनाशी इस नाटक में अपना है सुहाना सफर
चैन अमन का रंग छाया, आके प्रभु पनाहों में
कितना प्यार दिया...
३. इस वीरान जग में, मिल गया है हमे सहारा
दिल में था कितना गम मिट गया है अब तो सारा
खिला है मन में सुख का उपवन महके मन फ़िज़ाओं में
कितना प्यार दिया....


Tuesday, 8 August 2017

Mere Baba Tera Bankar Jeevan Bana - Lyrics with Mp3 and Video


Mere Baba Tera Bankar Jeevan Bana - Achcha Laga
Aansu mere moti bane, chehra khila - Achcha Laga
Mere Baba Tera......

1. Socha nahi maine kabhi, Yu tum mujhe mil jaaoge
    Mere bhagya hain, tumsa mujhe sathi mila - Achcha Laga
Mere Baba Tera...

2. Koi nahi is duniya mein, jisko ke hum apna kahein
    Mere meethe bachche pyar se, aisa kaha - Achha Laga
Mere Baba Tera...

3. Khwahish thi kuchh achcha banu, koshish magar nakaam thi
    Par apni dekar achchaiyaan, achcha kiya - Achcha Laga
Mere Baba Tera.....



-------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


मेरे बाबा तेरा बनकर जीवन बना - अच्छा लगा 
आंसू मेरे मोती बने चेहरा खिला - अच्छा लगा , अच्छा लगा
मेरे बाबा तेरा... 

१. सोचा नहीं मैंने कभी यु तुम मुझे मिल जाओगे
मेरे भाग्य हैं तुमसे मुझे साथी मिला - अच्छा लगा, अच्छा लगा
मेरे बाबा तेरा.... 

२. कोई नहीं इस दुनिया में, जिसको के हम, अपना कहें
मेरे मीठे बच्चे प्यार से , ऐसा कहा - अच्छा लगा, अच्छा लगा
मेरे बाबा तेरा.... 

३. ख्वाहिश थी कुछ अच्छा बनू, कोशिश मगर, नाकाम थी,
पर अपनी देकर अच्छाइयां, अच्छा किया - अच्छा लगा, अच्छा लगा
मेरे बाबा तेरा... 




Monday, 7 August 2017

Hum Ud ke Chale Jayen - Lyrics with Mp3 and Video




Hum udke chale jayen, Us pyare se vatan mein,
Us Meethe se vatan mein, Avyakt vatan mein
1. Jaana hai vahan humko, Jahan Baap aur Dada hain,
    bannaa hai sampooran, kiya Baba se vaada hai
    Jo Baba se kiya tha, vo vaada nibhayenge
Hum udke chale..................


2. Ye deh na yaad aaye, deh dhari na yaad aayen
    Ye patit purani si, duniya bhi na yaad aaye
    Yaad aaye to bas apna, vo vatan hi yaad aaye
Hum udke chale..................

3. Ye duniya vikari hai, Is duniya se kya lena,
    Vo nagri hamari hai, humko hai vahan rehna
    Hum gyan se saj dhaj ke , us nagari mein jayenge
Hum ud ke chale ..............
4.Vatan mein hai thehre huye, Babaa hamare liye
   Kar rahe hain, intzaar.. Ghar le jaane ke liyee.
   Aakari ban kar ke,, hum vatan me jayenge
Hum ud ke chale..............








Roz Savere Humko Milte - Lyrics with Mp3


Roz Savere Humko Milte... Baba Amritvele... Baba Amritvele..
Roz Savere Humko Milte... Baba Amritvele... Baba Amritvele..

Aisa Lagta Intazaar Mein.. (2) Baithe Aap Akele...
Baba Amritvele..
Roz Savere Humko Milte... Baba Amritvele... Baba Amritvele..

1. Pehli Nazar me dekhar Drishti, Pyar se bhar Dete ho.
    Pyaar Se Bhar Dete Ho..
    Pakad ke Ungli.. Sath me apne baba le le.te ho.. Baba le lete ho....
    Antindriya Sukh ki Masti Mein.. Jhool rahe hum Jhoole... Baba Amritvele..
Roz Savere Humko Milte... Baba Amritvele... Baba Amritvele..

2. Jee karta hai.. Udd kar Aayen, Aur yahin Reh Jaayen.
    Aur yahin reh Jaayen..
    Yaadon Mein aise kho Jaayen.. Khud ko Bhi na Paayen.. Khud ko Bhi na Paayen...
   Sangam yug me Sang Aapke.. Lage milan ke Mele... Baba Amritvele...

Roz Savere Humko Milte... Baba Amritvele... Baba Amritvele..
Aisa Lagta Intazaar Mein.. (2) Baithe Aap Akele...
Baba Amritvele..
Roz Savere Humko Milte... Baba Amritvele... Baba Amritvele..


Sunday, 6 August 2017

Shiv Anadi Hai Shiv Anant Hai - Lyrics with Mp3 and Video


Shiv Anadi hai, Shiv Anant hai
Jeevan madhuban, Shiv basant hai
Madhuban ka swayam shringaar karta
Har kali har fool se vo pyaar karta
Shiv Anadi Hai...

1. Shiv hai surya hum surya ki kirne,  gyan ujala shiv se pana hai
Satyam Shivam Sundaram-
    yahan vahan hum kitna hi bhatken, shiv hi ant-tah sabka thikana hai
Satyam Shivam Sundaram-
    Shiv samudra hai, hum saritayen, madhur milan ke swapn sajayen
    Shiv sahaj samarpan sweekar karta
Madhuban ka swayam shringaar karta
Har kali har fool se vo pyaar karta
Shiv Anadi Hai...

2. Ajar Amar shiv pita ajanma hai, nirakar hai satya sanatan hai
Satyam Shivam Sundaram-
    hriday lagakar prem lutata hai, bhagwan aisa alakh niranjan hai
Satyam Shivam Sundaram-
    Shiv virat hai, hum bindu matr hain, Shiv mahadani hum yogya patr hain
    Bin mange hi anugrah vo udar karta
Madhuban ka swayam shringaar karta
Har kali har fool se vo pyaar karta
Shiv Anadi Hai...

3. Madhu ka Akshay kosh sada shiv hai, Aur hum Madubini santanein hain
Satyam Shivam Sundaram-
   Param dhaam mein vaas jo karta hai, Hum jag mein uski pehchane hain
Satyam Shivam Sundaram-
   Jyoti bindu ko kendra bindu kar, garvit rehte parampita par
   Man usko naman bar-bar karta
Madhuban ka swayam shringaar karta
Har kali har fool se vo pyaar karta
Shiv Anadi Hai...


--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

शिव अनादि है, शिव अनंत है, जीवन मधुबन शिव बसंत है 
मधुबन का स्वयं शृंगार करता, हर कली हर फूल से वो प्यार करता 

१. शिव है सूर्य हम सूर्य की किरणे, ज्ञान उजाला शिव से पाना है
सत्यम शिवम् सुंदरम 
यहाँ वहां हम कितना ही भटकें, शिव ही अंततः सबका ठिकाना है
सत्यम शिवम् सुंदरम 
शिव समुद्र है हम सरिताएं , मधुर मिलन के स्वप्न सजाएँ
शिव सहज समर्पण स्वीकार करता
मधुबन का स्वयं........ 

२. अजर अमर शिव पिता अजन्मा है , निराकार है सत्य सनातन है
सत्यम शिवम् सुंदरम
ह्रदय लगाकर प्रेम लुटाता है, भगवन ऐसा अलख निरंजन है
सत्यम शिवम् सुंदरम
शिव विराट है , हम बिंदु मात्र हैं , शिव महादानी, हम योग्य पात्र हैं
बिन मांगे ही अनुग्रह वो उदार करता,
मधुबन का स्वयं ....... 

३. मधु का अक्षय कोष सदा शिव है , और हम मधुबनी संताने हैं
सत्यम शिवम् सुंदरम
     परमधाम में वास जो करता है, हम जग में उसकी पहचाने हैं
सत्यम शिवम् सुंदरम
ज्योति बिंदु को केंद्र बिंदु कर , गर्वित रहते परमपिता पर
मन उसको नमन बार बार करता
मधुबन का स्वयं ....