Search This Blog

Showing posts with label Avtaran Songs. Show all posts
Showing posts with label Avtaran Songs. Show all posts

Sunday, 11 February 2018

Sarvshaktimaan Ki Santaan Ho - Lyrics with Mp3 and Video


Sarvshaktimaan ki Santaan ho
Koun kehta hai mehaz insaan ho
Tum Sarvshaktimaan...

1. Khyalon mein shola ek chingaari hai
Soch mein ek subah pyari pyari hai
Vaani mein madhurymay vardaan ho.. vardaan ho
Tum Sarvshaktimaan...

2. Tum mein sanchit sneh shakti sampada
Tum amar nirbhay sada aur sarvada
divya jyoti punj ki pehchan ho.. pehchan ho..
Tum Sarvshaktimaan...

3.  Than lo to kya jo kar sakte nahi
Koun si peeda jo har sakte nahi
Vyarth Tinko ke liye toofan ho.. Toofan Ho...
Tum Sarvshaktimaan...

4. Raahen bharti siskiyon mein Aarzoo
Tum ko hi is ghar ki rakhni aabroo
shaan ho maa dharti ka armaan ho.. armaan ho
Tum Sarvshaktimaan...

--------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------


सर्वशक्तिमान की संतान हो 
कौन  कहता है महज इंसान हो 
तुम सर्वशक्तिमान... 

 १. ख्यालों में शोला एक चिंगारी है 
सोच में  सुबह प्यारी प्यारी है 
वाणी में माधुर्य मय  वरदान हो.. वरदान हो... 
तुम सर्वशक्तिमान... 

२.  तुम में  संचित स्नेह शक्ति सम्पदा 
तुम अमर निर्भय सदा और सर्वदा 
दिव्य ज्योति पुंज की पहचान हो..... पहचान हो 
तुम सर्वशक्तिमान... 

३. ठान लो तो क्या जो तुम कर सकते नहीं 
कोन सी पीड़ा जो हर सकते नहीं 
व्यर्थ तिनको के लिए तूफ़ान हो... तूफ़ान हो 
तुम सर्वशक्तिमान... 

४.  राहें भर्ती सिसकियों  में आरज़ू 
तुम को ही इस घर की रखनी आबरू 
शान हो माँ धरती का अरमान हो 
तुम सर्वशक्तिमान... 


Wednesday, 20 September 2017

Mera Baba Aa Gaya - Lyrics with Mp3, Karaoke and Video




Dil se nikal ke Sab ke laboon pe
Ek Yahi swar chha Gaya
Mera Baba Aa Gaya...
Mera Baba aa gaya..
Dharti boli Ambar bola
Saagar se raha naa gaya
Mera Baba Aa Gaya...
Mera Baba aa gaya..

1. Sab ne pukaara yahi yahi, nabh ne nihara yahi yahi
Sab ka sahaara yahi yahi, ankhiyon ka taara yahi yahi
Sab se nyara, sab se pyara, Meet ye man ko bha gaya
Mera Baba Aa Gaya...
Mera Baba aa gaya..

2. Shiv ajanma aate hain, apna janamdin manaate hain
Jhanda apna fehraate hain, jag ki jyot jagaate hain
Dekh sama ye dekh chandni, chand bhi hai sharma gaya
Mera Baba Aa Gaya...
Mera Baba aa gaya..

3. Prabhu ki padi parchhayiyan, Goonj uthi shehnaayiyan
Khushiyon ki amraayiyan, bajne lagi hain badhayiyan
Fool hase kaliyan muskaayi, rang ajab bikhraa gaya
Mera Baba Aa Gaya...
Mera Baba aa gaya..










Monday, 11 September 2017

Tu Vahi hai, Vahi Hai - Lyrics with Mp3


Tu vhi hai, vahi hai, vahi hai vahi
Haan vahi hai, vahi hai, vahi hai Vahi
Jiski chahat thi sadiyon se har koum ki
Tu Vahi hai.....

1. Tu hi roohon ka maalik, pita vaa guru
Hota tujhse safar hai, khatam aur shuru
Prvarish de rhi, teri maujoodagi
Tu vahi hai....Vahi...

2. Tera aagaz Anzaam insaaf hai
Galatiyan karta sabki , tuhi maaf hai
Teri chup, teri rehmat, teri saadgi
Tu vahi hai....vahi..

3. Teri aayat inaayat , farmaan hai
Poora hota safar , ab ye paigaam hai
Kabra daakhil roohon mein hai chhayi khushi
Tu vahi hai....vahi..


Tuesday, 22 August 2017

Aap Drishti Yunhi Dete Raho Baba - Lyrics with Mp3 and Video


Aap Drishti Yunhi dete raho Baba, Sukh saagar mein gehre utar jaaun
Hon palkein na pal bhar band meri, In lehron ko daaman mein bhar jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

1. Ho Gaye ab nihal ye naina, Baba aapki ruhani nazron se
    Paa liya hai mujhe tha jo pana, ye aavaj nikle antar se
    Aap shakti yunhi bharte raho baba, Is deh ki duniya se ud jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

2. Shukriya aapka laankho baba, Aapne humko dil se apna liya
    Pyas janmon ki ab bujh gayi hai, Apni nazron mein humko basa jo liya
    Aap aake yunhi milte raho baba, banke jannat ki khushboo bikhar jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

3. Har kalp yunhi milte rahenge, Preet ki dori aisi hai bandhi
    Aap se door na reh sakenge, Aaye maya ki kitni bhi aandhi
    Pyar ki varsha karte raho baba, mai sneh ke moti se bhar jaaun
Aap Drishti Yunhi.....

---------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

आप दृष्टि यूँही देते रहो बाबा, सुख सागर में गहरे उतर जाऊ 
हों पलके न पल भर बंद मेरी, इन लहरों को दामन में भर जाऊ 
आप दृष्टि यूँही..... 

१. हो गए अब निहाल ये नैना, बाबा आपकी रूहानी नज़रों से 
 पा लिया है मुझे था जो पाना , ये आवाज निकले अंदर से 
आप शक्ति यूँही भरते रहो बाबा, इस देह की दुनिया से उड़ जाऊ 
आप दृष्टि यूँही..... 

२. शुक्रिया आपका लाखो बाबा, आपने हमको दिल से अपना लिया 
प्यास जन्मों की अब बुझ गयी है, अपनी नज़रों में हमको बसा जो लिया 
आप आके यूँही मिलते रहो बाबा, बनके जन्नत की खुशबू बिखर जाऊं 
आप दृष्टि यूँही..... 

३.  हर कल्प यही मिलते रहेंगे, प्रीत की डोरी ऐसी है बंधी 
आपसे दूर न रह सकेंगे , आये माया की कितनी भी आंधी 
प्यार की वर्षा करते रहो बाबा, मै स्नेह के मोती से भर जाऊ 
आप दृष्टि यूँही..... 



Thursday, 4 May 2017

Andhiyare Sabhi Mitt Rahe - Lyrics

Andhiyaree sabhi mitt rahe, Ujiyara aa gaya
Gyan surya phir se, Shiv pyara aagaya..

1. Sansar fasa hua tha, Vikaroon ke jaal mein,
    Har manav bandha hua tha, dukh ke janjaal mein,
    Har aatma ka phir se wo sahara aa gaya
Gyan surya phir se........

2. Vikaroon ke sagar mein, Is jag ki nao thi,
    Ishwar bachao aakar, aati aawaj thi,
    Har Nao ko bachane, wo kinara aa gaya
Gyan Surya phir se.....

3. Andhkaar me the bhatke, milthi na rah thi,
    Parmatma ko payen, sab ki ye chah thi,
    Har Jyoti ko jaganae, Wo dubara aa gaya
Gyan Surya phir se....