Search This Blog

Showing posts with label Abhijeet. Show all posts
Showing posts with label Abhijeet. Show all posts

Monday, 11 September 2017

Tu Vahi hai, Vahi Hai - Lyrics with Mp3


Tu vhi hai, vahi hai, vahi hai vahi
Haan vahi hai, vahi hai, vahi hai Vahi
Jiski chahat thi sadiyon se har koum ki
Tu Vahi hai.....

1. Tu hi roohon ka maalik, pita vaa guru
Hota tujhse safar hai, khatam aur shuru
Prvarish de rhi, teri maujoodagi
Tu vahi hai....Vahi...

2. Tera aagaz Anzaam insaaf hai
Galatiyan karta sabki , tuhi maaf hai
Teri chup, teri rehmat, teri saadgi
Tu vahi hai....vahi..

3. Teri aayat inaayat , farmaan hai
Poora hota safar , ab ye paigaam hai
Kabra daakhil roohon mein hai chhayi khushi
Tu vahi hai....vahi..


Saturday, 22 April 2017

Mere Param Pita Paramatma- Lyrics

Mere Param Pita Parmatma...Sada Shiv.. Nirakaar..
O Anand Ke sagar.. Teri Mahima Aparampaar....

Mahima Aparampar.. Teri Mahima Aparampaar.....2

1. Tum Shrishti ke gyata to.. Vardano ke data ho...2
     Hum Tumko Pakar Paayen.... Gati Sadgati Uphar..
Mahima Aparampar... Teri Mahima Aparampar....2

2. Omkareshwar.. Sarveshwar... Mukti data Mukteshwar...
    Jeevan naiyaa sabki karte... Bhav sagar ke Paar..
Mahima Aparampar... Teri Mahima Aparampar....2

2. Prem Gyan ho.. Dharam Ho, Roop Anoop Ho.. Param Ho....2
    Kalp Vriksh ke Beej Roop Tum......Is jagat Ke Saar...
Mahima Aparampar... Teri Mahima Aparampar....2